💖 “Waqt Ne Alag Kiya, Pyaar Ne Milaya – Ek Sachi Kahani ❤️”
🌹 Real Love Story Blog 🌹
Yeh kahani Ravi aur Sneha ki hai — ek chhoti si town mein milne wale do dilon ki.
Ravi ek middle-class ladka tha, jo college ke saath part-time kaam karta tha. Sneha ek intelligent aur simple ladki thi, jo hamesha sabki madad karti thi.
📘 Pehli mulaqat:
Ek din college library mein Ravi ke haath se kitab gir gayi. Sneha ne uthayi, muskurayi — aur bas wahi se unka safar shuru hua.
Dheere-dheere dono dost bane, phir dost se badhkar kuch aur. Unka pyaar sachcha tha, lekin zindagi itni asaan nahi hoti…
💔 Mushkil waqt:
Sneha ke parents is rishte ke khilaf the, kyunki Ravi ameer nahi tha. Unhone Sneha ko doosre sheher bhej diya.
Ravi ne socha, “Main kuch ban kar hi lautunga.” Usne din raat mehnat ki — job kari, padhaai puri ki, aur ek achha business khada kiya.
⏳ 5 saal baad:
Ek din Sneha apne ghar ke paas ek NGO event mein gayi — jahan Ravi chief guest tha. Jab dono ki nazar mili, sab logon ke beech waqt thamm gaya.
Ravi ne kaha, “Main kaha tha na, main laut kar zaroor aunga — tere sapnon ke layak ban kar.”
Sneha ke aankhon se aansu gir gaye… aur dono ne fir se ek nayi zindagi shuru ki. ❤️
✨ Moral:
Sacha pyaar sirf milne ka naam nahi — intezaar, bharosa aur samarpan ka naam hai. Agar pyaar sachcha ho, to kismet bhi milane ki raah bana deti hai. 💫
📸
Comments
Post a Comment